sare chaqmaq-badan aae tha tayyari se

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
sare chaqmaq-badan aae tha tayyari se
raushni khub hui raat ki chingari se
un darakhton ki udasi pe taras aata hai
lakdiyan rang na dun aag ki pichkari se


koi da'wa bhi nahin karta masihai ka
hum bhi aazad hue jate hain bimari se
munh lagaya hi nahin aslaha-sazon ko kabhi
main ne duniya ko haraya bhi to dildari se


'ishq bhi log numaish ke liye karte hain
kya namazen bhi padhi jati hain 'ayyari se
sara bazar chala aaya hai ghar mein phir bhi
baz aate hain kahan log kharidari se


aakhiri nind se pahle kahan samjhenge hum
khwab se darna zaruri hai ki bedari se
husn jis chhanw mein baitha tha wo qatil to na thi
jal gae jism nigahon ki shajar-kari se


kam-se-kam main to murid un ka nahin ho sakta
jo pas-e-raqs-e-junun baithe hain hushyari se
60415 viewsghazalEnglish