sarf-e-gham hum ne naujawani ki wah kya khub zindagani ki apni biti agar main tujh se kahun baat nibde na is kahani ki tere daghon ki ai gham-e-ulfat khub hum ne bhi baghbani ki jun nigah dil gaya hai aaankhon ki rah garche hum ne nigahbani ki kis ke han tum karam nahin karte kabhu idhar na mehrbani ki apne nazdik dard-e-dil main kaha tere nazdik qissa-khwani ki harza-goi se mujh ko di hai najat haigi minnat ye be-zabani ki nahin taqat ki dam nikal sakun ab ye naubat hai na-tawani ki 'asar' is haal pe bhi jita hai kya kahun us ki sakht-jaani ki