sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai dekhna hai zor kitna bazu-e-qatil mein hai ai shahid-e-mulk-o-millat main tere upar nisar le teri himmat ka charcha ghair ki mahfil mein hai wae qismat panw ki ai zoaf kuchh chalti nahin karwan apna abhi tak pahli hi manzil mein hai rahraw-e-rah-e-mohabbat rah na jaana rah mein lazzat-e-sahra-nawardi duri-e-manzil mein hai shauq se rah-e-mohabbat ki musibat jhel le ek khushi ka raaz pinhan jada-e-manzil mein hai aaj phir maqtal mein qatil kah raha hai bar bar aaen wo shauq-e-shahadat jin ke jin ke dil mein hai marne walo aao ab gardan katao shauq se ye ghanimat waqt hai khanjar kaf-e-qatil mein hai mane-e-izhaar tum ko hai haya, hum ko adab kuchh tumhaare dil ke andar kuchh hamare dil mein hai mai-kada sunsan khum ulte pade hain jam chur sar-nigun baitha hai saqi jo teri mahfil mein hai waqt aane de dikha denge tujhe ai aasman hum abhi se kyun bataen kya hamare dil mein hai ab na agle walwale hain aur na wo arman ki bhid sirf mit jaane ki ek hasrat dil-e-'bismil' mein hai