sarhad-e-jism pe hairan khada tha main bhi apne hi sath sar-e-dar lada tha main bhi wasta mujh ko samar se tha na targhib se tha nim-wa hathon mein mitti ka ghada tha main bhi rauzan-e-waqt mein damdar sada thi kis ki sanp ki rah mein gathri mein pada tha main bhi us ke sine mein jahannam tha lahu bhi lekin ek suli ki tarah sath gada tha main bhi kurra-e-arz pe nuqte ka nishan tha warna apne sae ki zakhamat se bada tha main bhi log aawezish-e-taqrib mein kis ko rote zist ka kos to tha is se gada tha main bhi kitni tarik shuaon se lahu bhi tapka teri aankhon mein sar-e-sham jada tha main bhi