sarir-e-saltanat se aastan-e-yar behtar tha

By inamullah-khan-yaqeenOctober 31, 2020
sarir-e-saltanat se aastan-e-yar behtar tha
hamein zill-e-huma se saya-e-diwar behtar tha
mujhe dukh phir diya tu ne munda kar sabza-e-khat ko
jarahat ko mere wo marham-e-zangar behtar tha


mujhe zanjir karna kya munasib tha bahaaran mein
ki gul hathon mein aur panw mein mere khar behtar tha
hamon ne hijr se kuchh wasl mein dhadke bahut dekhe
hamare haq mein is rahat se wo aazar behtar tha


mera dil mar gaya jis din ki nazzare se baz aaya
'yaqin' parhez agar karta to ye bimar behtar tha
39207 viewsghazalEnglish