sarishk-e-gham simaT kar dil ke armanon ko le Dube

By arshad-siddiquiOctober 27, 2020
sarishk-e-gham simat kar dil ke armanon ko le dube
ye sahab-khana apne sath mehmanon ko le dube
dikha kar khwab-e-khush-ainda firdaus-khayali ke
nae shaddad hum masum insanon ko le dube


banate rah gae tanzim-e-nau ke barahman khake
buton ke hausle tab tak sanam-khanon ko le dube
na jaane kah diya shabnam ne kya aankhon hi aankhon mein
ki ghunche thartharae aur gulistanon ko le dube


khumar-e-chashm-e-saqi is qadar tauba-shikan tauba
ye do saghar na jaane kitne paimanon ko le dube
sahar hone se pahle aisi ek angdai ai saqi
jo paimanon se ubhre aur mai-khanon ko le dube


fazaon ko umid-e-rang-o-bu thi jin se ai 'arshad'
wo ghunche aaj khilte hi gulistanon ko le dube
12822 viewsghazalEnglish