sarmaya-e-azmat hai bulandi ka nishan hai

By basit-azeemJanuary 2, 2024
sarmaya-e-'azmat hai bulandi ka nishan hai
har 'azm mera apni jagah koh-e-giran hai
wahshat mere is shahr mein yun raqs-kunan hai
har kucha-o-bazar pe sahra ka guman hai


ek qissa-e-parina hua ‘ahd-e-ghulami
insan ki ghulami ka wo ab 'ahd kahan hai
insan ko insan ka haq dena hi hoga
ye waqt ka mansha hai taqaza-e-jahan hai


ek subh-e-darakhshan ka tasawwur jo abhi tak
ehsas ki manind mere dil mein jawan hai
manzil ka ta’ayyun nahin mumkin ki mera zehn
nadida bahaaron ke ta'aqub mein rawan hai


jis shakhs ne tarikh ko 'unwan diye the
wo shakhs tere shahr mein benam-o-nishan hai
na-qadr-shanasi hai muqaddar tera fankar
ye matam-e-fan marsiya-e-kam-nazaran hai


chehre pe likhi hai mere haalat ki taswir
padh lo mera chehra ki har ek baat 'ayan hai
'basit' tujhe manzil to bahar-haal milegi
kuchh gham nahin jo rah mein ghaugha-e-sagan hai


14883 viewsghazalEnglish