sarson laga ke panw talak dil hua hun main yan lag hunar mein ishq ke kaamil hua hun main sekun nigah-e-garm sin khush-chashm ki mujhe shamshir us bhuwan ke sin ghayal hua hun main manind-e-asman hai mushabbak mera jigar kis ki nigah sin aaj muqabil hua hun main bhaari hai dekhna mera tujh kan raqib kun chhati pe us ki aaj bajarsil hua hun main zulf-e-mutawwal o dahan-e-mukhtasar kun dekh tere daras ke ilm mein fazil hua hun main