sath ho koi to kuchh taskin si pata hun main tere aage ja ke tanha aur ghabraata hun main samne aate hi un ke chup sa ho jata hun main jaise khud apni tamannaon se sharmata hun main ek musalsal zabt hi ka nam shayad ishq hai ab to nazron tak ko aankhon hi mein pi jata hun main dekh sakte kash tum meri tamannaon ka jashn jab unhen jhuti ummiden de ke bahlata hun mere pairon ko hai kuchh rondi hui rahon se bair jis taraf koi nahin jata udhar jata hun main ek nigah-e-lutf aate hi wahi hai haal-e-dil sab purane tajrabon ko bhul sa jata hun main ye mere ashk-e-musalsal bas musalsal ashk hain kaun kahta hai tumhaara nam dohraata hun main sham-e-gham kya kya tasawwur ki hain chira-dastiyan han tumhein bhi tum se bin puchhe utha lata hun main karobar-e-ishq mein duniya ki jhuti maslahat mujh ko samjhate hain wo aur dil ko samjhata hun main sath tere zindagi ka wo tasawwur mein safar jaise phulon par qadam rakhta chala jata hun main ranj-e-insan ki haqiqat mein to samjha hun yahi aaj duniya mein mohabbat ki kami pata hun main mere aansu mein khushbu mere har nale mein rag ab to har ek sans mein shamil tumhein pata hun main ab tamanna be-sada hai ab nigahen be-payam zindagi ek farz hai jita chala jata hun main hae 'mulla' kab mili khamoshi-e-ulfat ki dad koi ab kahta hai kuchh un se to yaad aata hun main