sath jati hain nigahen wo jidhar jate hain yun bhi lamhat judai ke guzar jate hain un ko mausam ke taghayyur ne thaharne na diya aur hum puchh na pae ki kidhar jate hain husn ko aaina kah dete hain kuchh log magar aaina samne rakh do to bigad jate hain aaj aanchal mein girah dal li hum ne 'salma' kyunki har bar wo wade se mukar jate hain