sath sae ki tarah wahshat mein uryani hui mujh se diwane ke pichhe ye bhi diwani hui sadqe un ki zulf ke meri pareshani hui main to diwana tha ye bhi aaj diwani hui un ke aanchal mein ada ban kar qayamat chhup chuki wo meri jaani hui wo meri pahchani hui kis ke jalwe ne nigah-e-shauq par dala asar tur ke daman mein achchhi barq jaulani hui ab jo khul-khelen ye joban koi is ko kya kare parde parde mein bahut un ki nigahbani hui mante hain wo mujhe ye ghair ko taslim hai man lete hain meri ye baat hai mani hui ghair hi ke ho rahen ab kya rafu karte hain wo chaak-damani se un ki chaak-damani hui qaht tha kitne maze ka husn-e-arzan bik gaya is girani mein maze aae wo arzani hui zulf-o-rukh ne mara tara dida-o-dil kya kahen kis ko hairani hui kis ko pareshani hui zamzami mein jam-e-mai mein gir gaya pani siwa thi meri qismat mein jaisi aaj sab pani hui wada dushman se na tha to hashr mein sharmae kyun is tarah wo chup hain goya baat hai mani hui dekh kar sabza meri turbat ka badli waz-e-jaur aasmani aap ki poshak kyun dhani hui dher hain kitne yahan baam-e-hasinan se buland jins-e-dil uthti nahin itni farawani hui pak-saf aisi hai jis ne pi farishta ban gaya zahido ye hur ke daman mein hai chhani hui band tute maski mahram rang uda joban luta ghair ke ghar ja ke un ki khub mehmani hui aaen jaenge adu hum tod kar baithenge panw aap ne darban banaya hum se darbani hui shakl kya khinchti meri main gard-baad-e-dasht tha gard taswir-e-junun se sanat-e-mani hui pite hi duniya ke jhagdon se hue be-fikr hum kis qadar dushwariyan thin kitni aasani hui daman-e-gulchin mein bhi kuchh phul barsae 'riyaz' kahiye kuchh us ki zamin mein bhi gul-afshani hui