sau dagh tamannaon ke hum khae hue hain

sau dagh tamannaon ke hum khae hue hain
gul jitne hain is bagh mein murjhae hue hain

sharminda hun main apni duaon ke asar se
wo aaj pareshan hain ghabrae hue hain

khuddari-e-gesu ka hai us rukh pe ye aalam
jhukna jo pada un ko to bal khae hue hain

ab tum bhi zara husn-e-jahan-soz ko roko
hum to dil-e-be-tab ko samjhae hue hain

ai dast-e-karam phenk de kaunain ko is mein
daman ko tere samne phailae hue hain

phodenge jabin ab tere dar par tere muhtaj
barbaad hain taqdir ke thukrae hue hain

aata hai badha bahr-e-karam josh mein 'kaifi'
hum apne gunahon pe jo sharmae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close