sau jahan aur bhi hain wusat-e-aflak mein gum

By adnan-asarJanuary 18, 2025
sau jahan aur bhi hain wus'at-e-aflak mein gum
aur tu rahta hai har waqt yahan khak mein gum
dube rahte hain teri yaad mein hum bhi aise
kuza-gar jaise hama-waqt rahe chaak mein gum


uthne wala hai zamin se kisi mahshar ka ghubar
hone wale hain sitare khas-o-khashak mein gum
us ko dekhunga miyan jab hi thamega tufan
hai abhi chand mere dida-e-namnak mein gum


raqs karte hue darwesh ko ma'lum hai sab
kitne adwar hain udti hui is khak mein gum
masale zist ko darpesh zamin par hain 'asar'
hum hue jate hain is hairat-e-aflak mein gum


61302 viewsghazalEnglish