sawad-e-manzar-e-khwab-e-pareshan kaun dekhega asir-e-zulf ho kar sham-e-hijran kaun dekhega gulon ki dilkashi fasl-e-bahaaran kaun dekhega na honge jab hamin rang-e-gulistan kaun dekhega shab-e-gham tum na aae gham nahin gham hai to ye gham hai mere daman pe ashkon ka charaghan kaun dekhega gudaz-e-shama ki surat jawaz-e-gham karo paida ye parwano tumhaara soz-e-pinhan kaun dekhega qayamat mein labon par shikwa-ha-e-pur-jafa la kar teri masum fitrat ko pasheman kaun dekhega yaqinan shauq ke pardon ko bhi aankhon se uthna hai nahin to hashr mein kal ru-e-jaanan kaun dekhega gareban phad kar 'jumbish' chalo phulon ki mahfil mein ye sahra hai yahan haal-e-pareshan kaun dekhega