sawal us se hamara kahan nibah ka hai mutaliba hai magar sirf ek nigah ka hai hameshgi ke marasim to dil ko ras nahin ilaj is ka wahi rabt gah gah ka hai main din-e-ishq mein tauhid ka jo qail hun to moajaza ye tere husn-e-be-panah ka hai visal-o-hijr se main kis ka intikhab karun yahan pe khud se mujhe khauf ishtibah ka hai khabar nahin hai abhi us ki kam-nigahi ko ki ek marhala khud ye bhi rasm-o-rah ka hai moarrikhon ko kisi aur par na shak guzre ki mujh ko marne wala meri sipah ka hai