sawar koi pas-e-parda-e-ghubar na tha

By abdullah-khalidAugust 19, 2023
sawar koi pas-e-parda-e-ghubar na tha
magar tajassus-e-nazzara ko qarar na tha
main is qadar bhi to auham ka shikar na tha
khusha wo din ki tera lutf bar bar na tha


wo ek shakhs jo rah rah ke yaad aata hai
wafa-shanas tha lekin wafa-shi'ar na tha
ye hadisa bhi 'ajab hai ki mere hone par
siwae mere koi aur sogwar na tha


mere yaqin ki zanjir kat gai hoti
tere fareb ka khanjar hi aab-dar na tha
wo hadse ki lahu-rang ho gaya ehsas
wo sanahe ki mujhe jin ka intizar na tha


66674 viewsghazalEnglish