saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kate pyar ki rasm ko chamkao ki kuchh raat kate jab ye tai hai ki gham-e-ishq bahut kafi hai gham ka mafhum hi samjhao ki kuchh raat kate subh ke sath hi hum khud bhi bikhar jaenge do-ghadi aur thahar jao ki kuchh raat kate daman-e-dard pe bikhre hue aansu ki tarah meri palkon pe bhi lahrao ki kuchh raat kate zikr-e-gulzar sahi qissa-e-dil-dar sahi zakhm ke phul hi mahkao ki kuchh raat kate ek ek dard ke sine mein utar kar dekho ek ek sans mein lahrao ki kuchh raat kate dil ki wadi mein hai tarik ghataon ka hujum chandni ban ke nikhar jao ki kuchh raat kate qatil-e-shahr se bach kar main abhi aaya hun main akela hun chale aao ki kuchh raat kate farsh kirnon ka bichha degi sahar aa ke 'rais' dil ke zakhmon ko bhi chamkao ki kuchh raat kate