saza hai kis ke liye aur jaza hai kis ke liye pata nahin dar-e-zindan khula hai kis ke liye surahi-e-mai-e-nab-o-safina-ha-e-ghazal ye harf-e-husn-e-muqaddar likha hai kis ke liye faqat shunid hai ab tak jo did ho to bataen bahaar-e-sabza-o-raqs-e-saba hai kis ke liye nahin jo apne liye bawajud zauq-e-nazar sahifa-e-rukh-o-rang-e-hina hai kis ke liye mita sake na agar tishna-kaamiyan meri kaho ki khubi-e-ab-o-hawa hai kis ke liye tumhein nahin ho agar aaj gosh-bar-awaz ye meri fikr ye meri nawa hai kis ke liye ye ek sawal hai shikwa nahin gila bhi nahin mere khuda tera lutf-o-ata hai kis ke liye