sazish-e-intishaar mein masruf

By basir-sultan-kazmiMarch 1, 2021
sazish-e-intishaar mein masruf
hai khizan bhi bahaar mein masruf
hum ne rakha kai tarah khud ko
fursat-e-intizar mein masruf


misl-e-sayyargan bani-adam
apne apne madar mein masruf
ishq rota hai aath aath aansu
husn sola-singhaar mein masruf


aah wo waqt jab lahu mera
tha dil-e-be-qarar mein masruf
zindagi kat rahi hai 'basir' ki
be-samar karobar mein masruf


27292 viewsghazalEnglish