sazishon ki bhid mein tarikiyan sar par uthae badh rahe hain sham ke sae dhuan sar par uthae reg-zaron mein bhatakti soch ke kuchh khushk lamhe talkhi-e-haalat ki hain dastan sar par uthae khwahishon ki aanch mein tapte badan ki lazzaten hain aur wahshi raat hai gumrahiyan sar par uthae chand gungi dastaken hain ghar ke darwaze ke bahar chikh sannaton ki hai sara makan sar par uthae zehn mein thahri hui hai ek aandhi muddaton se hum magar phirte rahe reg-e-rawan sar par uthae aalam-e-la-warsi mein jaane kab se dar-ba-dar hun pusht par mazi ko lade qarz-e-jaan sar par uthae muztarib si ruh hai meri bhatakta phir raha hun main kai janmon se hun bar-e-giran sar par uthae 'rind' jab be-samtiyon mein khushk patte ud rahe hon tohmaten kis ke liye sham-e-khizan sar par uthae