shab-e-firaq ka dhoka kabhi sahar ka fareb kamal-e-zauq-e-tamasha hai ya nazar ka fareb mujhe hayat ki sarhad se dur le aaya giraft-e-hosh se pahle teri nazar ka fareb ghubar-e-rah mein gum ho gae rahin-e-safar magar na tut saka phir bhi rahbar ka fareb meri hayat teri zulf ki panah mein hai shikast de na sakega mujhe sahar ka fareb teri nazar ka karishma nahin to phir kya hai taghayyuraat-e-zamana ye bahr-o-bar ka fareb tumhaari anjuman-e-naz tak mujhe laya meri nigah ka taqaza meri nazar ka fareb hudud-e-kucha-e-jaanan ke ma-siwa 'maikash' har ek gam pe milta hai khair-o-shar ka fareb