shab-e-firaq ke dam tode hue lamho meri tarah se sitaron ka nauha sunte ho? dayar-e-jaan mein bagulon ka raqs jari hai mere udas khayalo kiwad mat kholo gae dinon ki mohabbat ye din malal ke hain nae dinon ki mohabbat ko taq par rakh do kabhi milo to sahi bar-banae matlab hi hamein bhi bakhsh do sarmaya-e-ghurur ab to suna hai kaliyan chatakti hain muskurane se ye tajraba hi sahi muskura ke dekho to tamam raat jo ladta raha andheron se 'khayal' ab wo sitara bhi gum hua dekho