shab-e-gham ki sahar nahin hoti
By ram-krishn-muztarNovember 13, 2020
shab-e-gham ki sahar nahin hoti
dastan mukhtasar nahin hoti
jab kisi ki nazar nahin hoti
hum ko apni khabar nahin hoti
baz auqat apne dil par bhi
ahl-e-dil ki nazar nahin hoti
dagmagate nahin qadam jis ja
wo teri rahguzar nahin hoti
jis masarrat mein gham na ho shamil
wo kabhi mo'atabar nahin hoti
dard jab khud hi apna darman ho
minnat-e-chaara-gar nahin hoti
dil-e-'muztar' se jo nikalti hai
wo sada be-asar nahin hoti
dastan mukhtasar nahin hoti
jab kisi ki nazar nahin hoti
hum ko apni khabar nahin hoti
baz auqat apne dil par bhi
ahl-e-dil ki nazar nahin hoti
dagmagate nahin qadam jis ja
wo teri rahguzar nahin hoti
jis masarrat mein gham na ho shamil
wo kabhi mo'atabar nahin hoti
dard jab khud hi apna darman ho
minnat-e-chaara-gar nahin hoti
dil-e-'muztar' se jo nikalti hai
wo sada be-asar nahin hoti
57378 viewsghazal • English