shab-e-ghurbat mein jo KHushbu-e-watan pas aai
By khursheed-rizviFebruary 27, 2024
shab-e-ghurbat mein jo khushbu-e-watan pas aai
der tak sans nahin sirf teri bas aai
jo nawishton mein mata’-e-do-jahan batti thi
mere hisse mein yahi shiddat-e-ehsas aai
koi ummid hai mujh ko na koi andesha
aas aai mere dil mein na kabhi yas aai
jab khula sans liya hai mahak uttha hai masham
ye mere hath 'ajab daulat-e-anfas aai
jab bhi aai hai kabhi us nigah-e-naz ki yaad
shisha-e-dil ke liye sura-e-almas aai
tu isi kulba-e-ahzan mein pada rah khurshid
tujh ko kab sohbat-e-abna-e-zaman ras aai

23677 viewsghazal • English