shab-e-mah mein jo palang par mere sath soe to kya hue kabhi lipte ban ke wo chandni kabhi chand ban ke juda hue hue waqt-e-akhiri mehrban dam-e-awwalin jo khafa hue wo abad mein aa ke gale mile jo azal mein hum se juda hue ye ilahi kaisa ghazab hua wo samae mujh mein to kya hue mera dil bane to tadap gae mera sar bane to juda hue chale sath sath qadam qadam koi ye na samjha ki hain baham kabhi dhup ban ke lipat gae kabhi saya ban ke juda hue abhi hain zamane se be-khabar rakha hath rakkhe ye lash par utho bas utho kaha man lo meri kya khata jo khafa hue hain ajib murgh-e-shikasta-par na chaman mein ghar na qafas mein ghar jo gire to saya hain khak par jo uthe to mauj-e-hawa hue wo araq araq hue jis ghadi mujhe umr-e-khizr ata hui shab-e-wasl qatre pasine ke mere haq mein aab-e-baqa hue kabhi shakl-e-aina ru-ba-ru kabhi tuti aur kabhi guftugu kabhi shakhs ban ke gale mile kabhi aks ban ke juda hue na tajalliyan hain na garmiyan na shararten hain na phurtiyan hama-tan the din ko to shokhiyan hama-tan wo shab ko haya hue mere nale hain ki azal abad tere ishwe hain ki lab-e-masih wahan kun ka ghalghala wo bane yahan qum ki ye jo sada hue gire zat mein to hai jumla-ust uthe jab sifat mein hama-az-dast kaha kaun ho to mile rahe kaha nam kya to juda hue kiye us ne bazm mein shoabde mali mehndi hath pe shama ke jo patange raat ko jal gae wo tamam murgh-e-hina hue mere dil ke dekho to walwale ki har ek rang mein ja mili jo ghate to un ka dahan bane jo badhe to arz-o-sama hue wahi farsh-o-arsh-nashin rahe hue nam alag jo kahin rahe gae dair mein to sanam bane gae la-makan to khuda hue jo tasawwur un ka juda hua dil be-khabar ne ye di sada abhi ham-baghal the kidhar gae abhi god mein the wo kya hue kabhi sozishen kabhi aafaten kabhi ranjishen kabhi rahaten milin chaar hum ko ye neamaten tere ishq mein jo fana hue hamein shauq ye ki ho ek taur use zauq ye ki ho shakl aur bane aag to bujhe aab mein mile khak mein to hawa hue gae sar se jabki wo ta-kamar to alif idhar ka hua udhar tera joda khulte hi baal sab pas-e-pusht aa ke bala hue koi dab gaya koi mar gaya koi pis gaya koi mit gaya tere ishwe se jab se falak bane tere ghamze jab se qaza hue mujhe gudgudi se ghash aa gaya to hila ke shana yahi kaha abhi hanste the abhi mar gae abhi kya the tum abhi kya hue kaho kafiron se karen khushi ki ye masala hai tanasukhi mere nale khak mein jab mile to subu ke dast-e-dua hue pas-e-wasl hum jo sarak gae to wo khilkhila ke phadak gae kaha shokhiyon ne chalo hato ki huzur tum se khafa hue tumhein log kahte hain naujawan ki ho bis tis ke darmiyan kaho mujh se 'mail'-e-khush-bayan wo tumhaare walwale kya hue