shab-e-visal mein duri ka khwab kyun aaya kamal-e-fath mein ye dar ka bab kyun aaya dilon mein ab ke baras itne wahm kyun jage bilad-e-sabr mein ab iztirab kyun aaya hai aag gul pe ajab is bahaar-e-guzran mein chaman mein ab ke gul-e-be-hisab kyun aaya agar wahi tha to rukh pe wo be-rukhi kya thi zara se hijr mein ye inqalab kyun aaya bas ek hoga tamasha tamam samton par meri sada ke safar mein sarab kyun aaya main khush nahin hun bahut dur us se hone par jo main nahin tha to us par shabab kyun aaya uda hai shola-e-barq abr ki fasilon par ye is bala ke muqabil sahab kyun aaya yaqin kis liye us par se uth gaya hai 'munir' tumhaare sar pe ye shak ka azab kyun aaya