shab-e-wada idhar mujhko hansi si aai jati hai

By boom-merathiApril 24, 2021
shab-e-wada idhar mujh ko hansi si aai jati hai
udhar un ki nazar hai khud-bakhud sharmai jati hai
abe sale raha hai raat bhar dushman ke pahlu mein
tere chehre se kuchh sharmindagi si pai jati hai


diya karte hain mujh ko aatishin rukhsar ka bosa
samajhta hun tabiat ab meri garmai jati hai
budhapa hai ki mujh par raat-din wo aae jata hai
jawani hai ki tujh par raat aur din chhai jati hai


shab-e-wada unhen sakhti se main lipta to farmaya
aji chhodo tabiat ab meri ghabrai jati hai
ye aisa kaam hai jo sat pardon mein nahin chhupta
kahin bhi hon hazaron kos tak ruswai jati hai


meri khalwat mein rakkhi hain barahna teri taswiren
tabiat bas unhin se raat-din bahlai jati hai
shab-e-wada bhi koshish kar rahe hain mujh se bachne ki
kuchh aisi baat mere kan mein samjhai jati hai


abe main jaanta hun us mein koi raaz pinhan hai
raqibon se mere sar ki qasam jo khai jati hai
hazaron raat guzrin is tarah se dil ko bahlate
wo ab aate hain ab tashrif un ki aai jati hai


zamana ho gaya is kaam ko is baat ko guzre
magar chehre pe ab bhi sharm si kuchh pai jati hai
jawani ka zamana phir jawani ka zamana hai
bache insan kitna hi tabiat aai jati hai


kalam achchha sunae ya sunae fuhsh wo ghazlen
janab-e-'bum' se mahfil mein raunaq aai jati he
64248 viewsghazalEnglish