shab judai ki ab Dhal rahi hai
By mohammad-zafar-siddiquiOctober 25, 2023
shab judai ki ab dhal rahi hai
wasl ki rah par chal rahi hai
'ishq mein main hi pagal nahin tha
thoda wo bhi to pagal rahi hai
raat karwat pe karwat badal kar
hijr ki aag mein jal rahi hai
waqt faqon pe guzra hai aksar
yun gharibi musalsal rahi hai
ai 'zafar' har kisi ki du'a se
har du'a man ki afzal rahi hai
wasl ki rah par chal rahi hai
'ishq mein main hi pagal nahin tha
thoda wo bhi to pagal rahi hai
raat karwat pe karwat badal kar
hijr ki aag mein jal rahi hai
waqt faqon pe guzra hai aksar
yun gharibi musalsal rahi hai
ai 'zafar' har kisi ki du'a se
har du'a man ki afzal rahi hai
49247 viewsghazal • English