shab khwab ke jaziron mein hans kar guzar gai aankhon mein waqt-e-subh magar dhul bhar gai pichhli ruton mein sare shajar barwar to the ab ke har ek shakh magar be-samar gai hum bhi badhe the wadi-e-izhaar mein magar lahje ke intishaar se aawaz mar gai tujh phul ke hisar mein ek lutf hai ajab chhu kar jise hawa-e-tarab-e-motabar gai dil mein ajab sa tir taraazu hai in dinon han ai nigah-e-naz bata tu kidhar gai maqsad sala-e-am hai phir ehtiyat kyun be-rang rauzanon se jo khushbu guzar gai us ke dayar mein kai mahtab bhej kar wadi-e-dil mein ek amawas thahar gai ab ke qafas se dur rahi mausami hawa aazad taeron ke paron ko katar gai aandhi ne sirf mujh ko musakhkhar nahin kiya ek dasht-e-be-dili bhi mere nam kar gai phir chaar-su kasif dhuen phailne lage phir shahr ki nigah tere qasr par gai alfaz ke tilism se 'amabar' ko hai shaghaf us ki hayat kaise bhala be-hunar gai