shab ki tanhai mein yaad unki satati kyon hai

By afsar-deccaniJanuary 1, 2024
shab ki tanhai mein yaad un ki satati kyon hai
meri jalti hui aankhon ko rulati kyon hai
ruthne ke siwa kuchh aur bahana bhi na tha
teri 'adat ye mere dil ko jalati kyon hai


sare afsane ko sun kar bhi tasalli na hui
ek ghazal teri mere dil ko lubhati kyon hai
mere haalat pe ro de ye zaruri hai magar
zindagi meri zamane ko hansati kyon hai


ek muddat hui aaina na dekha main ne
un ki taswir mere samne aati kyon hai
aap har roz mere dar se guzarte hain magar
be-rukhi meri tarah aap ko bhati kyon hai


ye to mausam koi patjhad ka nahin hai 'afsar'
phir mere dil ki kali ashk bahati kyon hai
57746 viewsghazalEnglish