shab ki zulfen sanwarta hua main

By sajjad-baluchNovember 15, 2020
shab ki zulfen sanwarta hua main
ye tere sath jagta hua main
rishta-e-jaan se kat gaya yaksar
kuchh talluq nibahta hua main


wo sar-e-bazm jhumta hua tu
ye sar-e-rah karahta hua main
wo sar-e-shakh tu mahakta hua
aur sar-e-khak sukhta hua main


gir gaya thak ke apne qadmon mein
tujh se tujh ko hi mangta hua main
aks-dar-aks phailta hua tu
khwab-dar-khwab bhagta hua main


tere sarsabz mausamon se juda
dasht ki khak phankta hua main
apne taza wajud mein gum hun
tujhe naslon se khojta hua main


mujhe qarnon mein sochta hua tu
tujhe sadiyon mein dhundhta hua main
ye mera dard bhulta hua tu
ye teri khair mangta hua main


adl ki maslahat ka aaina
ye sar-e-dar jhulta hua main
22633 viewsghazalEnglish