shab mein suraj kahan nikalta hai

By afsar-deccaniJanuary 1, 2024
shab mein suraj kahan nikalta hai
phir bhi mera badan pighalta hai
ghar mein hai bhid mehmanon ki
chhat se bahar dhuan nikalta hai


chandni raat mein diwana kyon
chand ke sath sath chalta hai
us ko rona tha meri ghurbat par
hans ke wo rup kyon badalta hai


kyon na main us ka ehtiram karun
chot kha kha ke jo sanbhalta hai
soch mein lafz kho gae 'afsar'
she'r kahne ko dil machalta hai


30924 viewsghazalEnglish