shabnam ko ret phul ko kanta bana diya hum ne to apne bagh ko sahra bana diya is unch nich par to thaharte nahin the panw kis dast-e-shauq ne ise duniya bana diya kin mutthiyon ne bij bikhere zamin par kin barishon ne is ko tamasha bana diya sairab kar diya teri mauj-e-khiram ne rakkha jahan qadam wahan dariya bana diya ek raat chandni mere bistar pe aai thi main ne tarash kar tera chehra bana diya puchhe agar koi to use kya bataon main dil kya tha, tere gham ne ise kya bana diya