shadab shakh-e-dard ki har por kyun nahin har barg ek zaban hai to phir shor kyun nahin warasta-e-azab-e-tamasha hai chashm-e-barg ai aagahi nigah meri kor kyun nahin dast-e-sawal-e-barg hai shabnam se kyun tahi jo baadalon ko lut le wo zor kyun nahin zist ek barg-e-tishna hai wo abr kya hue ab un ki koi rah meri or kyun nahin ye shoala ek barg-e-khizan hai ki barg-e-gul aankhon mein teri sham hai kyun bhor kyun nahin