shah-e-zaman ne bhej diya reshmi libas
By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
shah-e-zaman ne bhej diya reshmi libas
lekin faqir ka hai wahi sarmadi libas
hai jism ke siwa bhi khuda ki dukan mein
'uryaniyon ko dhanpne wala koi libas
khush hone ka ye swang bahut der ho chuka
sanduq se nikalo mera matami libas
socha tumhein gale se lagaya pahan liya
tum ho kabhi khayal kabhi tan kabhi libas
is bar raushni se hai jang aar-par ki
shamon se jis ne chhin liye surmai libas
jari rahega ta-ba-abad ye tawaf-e-husn
aankhon mein phir raha hai tera mausami libas
taqrir sun ke wo bhi bajate hain taliyan
pahna diya gaya hai jinhen aakhiri libas
us roz jhum-jhum ke nache hain zid mein wo
jis din badan pe dekh liya matami libas

18040 viewsghazal • English