shahar aabaad ho chuka bhi hai

By farhat-m-hasaniJanuary 12, 2021
shahar aabaad ho chuka bhi hai
aur phir se ujad raha bhi hai
roz-o-shab ka safar bhi hai jari
aur musafir thaka hua bhi hai


raat hai chand hai sitare hain
aur khwabon ka silsila bhi hai
ek to huran-e-khuld ki khwahish
aur phir bakht-e-na-rasa bhi hai


khud-farebi ki aakhiri had tak
hum ne badla to aaina bhi hai
hum ne bazi to yun nahin haari
koi apna idhar gaya bhi hai


ek to dur hai bahut manzil
us pe pur-pech rasta bhi hai
zindagi jitni khubsurat hai
us se badh kar ye bad-numa bhi hai


shahar mein shor hai qayamat ka
aur 'farhat' ghazal-sara bhi hai
27258 viewsghazalEnglish