shahr bhar mein kahin raunaq thi na tabani thi har taraf chhai hui gard-e-pareshani thi jab sarabon pe qanaat ka saliqa aaya ret ko hath lagaya to wahin pani thi sada-lauhi meri rakhti thi tawaqqoa tujh se mujh se ummid lagae teri nadani thi kya bataun ki use dekh ke hairan kyun hun ek aaina tha aaine mein hairani thi ab nadamat ke samundar mein lagaen ghote aarzuon ne kahan baat meri mani thi mukhtasar us ko kiya hai mutabassim ho kar warna rudad mere dard ki tulani thi ai 'muzaffar' mujhe ta-umr rahi fikr-e-sukhan jab ki fursat thi mayassar na tan-asani thi