shahr-e-dil kash ki ek shahr-e-tamanna hota

By asif-bilalJanuary 2, 2024
shahr-e-dil kash ki ek shahr-e-tamanna hota
yar is dasht mein koi to sahaara hota
main tere shahr se guzra hun to hangama hua
gar tere pas thaharta to bhala kya hota


pa-ba-jaulan na sahi jate magar hum bhi zarur
sahn-e-maqtal ne hamein bhi to pukara hota
shahr ka shahr tumhein dekhne aaya hua hai
tum na aate to meri jaan tamasha hota


chashm-e-pur-nam bhi agar had se tajawuz karti
khema-e-khwab mein ek shor sa barpa hota
yun sar-e-rah tamasha na banate us ka
nok-e-neza pe agar koi tumhaara hota


hum mohabbat mein koi chaal jo chalte 'asif'
wo jo kahne ko hamara hai hamara hota
24004 viewsghazalEnglish