shahr-e-ghazal mein bikne ko tayyar kaun hai yusuf nahin to zinat-e-bazar kaun hai sab ke labon pe nara-e-mansur hai magar ye dekhna hai aaj sar-e-dar kaun hai apna zamir jhut kabhi bolta nahin tum hi kaho ki sahab-e-kirdar kaun hai tark-e-talluqat ko ek umr ho gai tanhaiyon mein mail-e-guftar kaun hai taswiren roz banti hain sheron ki shakl mein mere tasawwuraat ka shahkar kaun hai jalne ko shama bhi jali parwana bhi jala kaise kahen ki kis ka wafadar kaun hai hum log khanqahon mein jaenge kis tarah sab parsa hain hum sa gunahgar kaun hai ashkon ke phul le ke main nikla to hun 'rais' ye dekhna hai un ka kharidar kaun hai