shahr-e-na-pursan mein kuchh apna pata milta nahin baam-o-dar raushan hain lekin rasta milta nahin fasl-e-gul aisi ki arzan ho gae kaghaz ke phul ab koi gul-pairahan zarrin-qaba milta nahin aashna chehron se rang-e-ashnai ud gaya ham-zaban ab khushk patton ke siwa milta nahin ek sannata hai shabnam se shua-e-nur tak ab koi aanchal pas-e-mauj-e-saba milta nahin hakimon ne shahr ke andar fasilen khinch din din mein bhi ab koi darwaza khula milta nahin itne be-parwa irade itne be-taufiq gham hath uthte hain magar harf-e-dua milta nahin