shahr-e-tohmat mein bahut der pukara hua hun
By shahzad-baigOctober 9, 2023
shahr-e-tohmat mein bahut der pukara hua hun
main jo ek shakhs tere ahd ka mara hua hun
meri tanhai mujhe roz tera puchhti hai
main jo duniya ke muqabil tujhe haara hua hun
munjamid tha main kisi bahr-e-shumali ki tarah
ek tere hath laga dene se para hua hun
apni barbaadi ka jab jashn manaya main ne
phir kahin ja ke tujhe jaan se pyara hua hun
har koi hath mein talwar liye baitha hai
main to jaise kisi maqtal mein utara hua hun
samna tegh-e-sitam ka hai mera ek mamul
shahr-e-khun-bar se sau bar guzara hua hun
main kisi baad-e-ta'alluq ki hunar-kari se
ret par naqsh ki manind ubhaara hua hun
umr ek main ne guzari hai rah-e-tira mein
tab kahin ja ke main 'shahzad' sitara hua hun

12707 viewsghazal • English