shahr mein hazrat-e-dil chaak-e-gareban kaisa
By munshi-banwari-lal-sholaOctober 25, 2023
shahr mein hazrat-e-dil chaak-e-gareban kaisa
hosh mein aao bhala ghar mein bayaban kaisa
khul gae zakhm khayal-e-lab-e-khandan kaisa
aur badh jae agar dard to darman kaisa
qata jama hua daman ke qarin chaak sile
dekhiye rahta hai andaz-e-gareban kaisa
dil jigar se hai alag aur jigar jaan se alag
aaj ek majma ka majma hai pareshan kaisa
khak-e-ashiq hai ki uth uth ke qadam leti hai
aur wo jata hai uthae hue daman kaisa
mai-kashon ka hai khuda hafiz-o-nasir har dam
kashti-e-mai ke liye nuh ka tufan kaisa
dil mein kuchh ishq-e-sanam til ke barabar hi sahi
kufr itna bhi na ho jis mein musalman kaisa
muzhda ai dast-e-junun jama abhi baqi hai
chaak-e-daman se nikal aaya gareban kaisa
ho chuka hashr qayamat ka zamana guzra
tha ilahi but-e-bad-ahd ka paiman kaisa
'shoala' piri mein kisi zulf ka sauda kya khub
subh ke waqt hai ye khwab-e-pareshan kaisa

80329 viewsghazal • English