shahr mein lakh charaghan ho to kya hota hai
By aarif-aazmiApril 21, 2024
shahr mein lakh charaghan ho to kya hota hai
mere ghar mein wahi mitti ka diya hota hai
dard sine mein mere jab bhi mahak uthta hai
zakhm yaadon ka teri aur hara hota hai
dastan gham ki sinaon ye zaruri to nahin
nafs-e-mazmun to chehre pe likha hota hai
shiddat-e-gham se na mit jae kahin mera wajud
roz ek gham meri chaukhat pe khada hota hai
qatl karta hai wo har roz mujhe qiston mein
mere ehsas mein jo dard chhupa hota hai
teri mahfil se nikal jaun yahi achchha hai
yahan har roz naya hashr bapa hota hai
gharq ho jae na kashti kahin dar se 'arif'
nakhuda kahta hai manjdhaar se kya hota hai

27448 viewsghazal • English