shaiKH maiKHane se jab su-e-haram aate hain

By ishrat-jahangirpuriJanuary 3, 2024
shaikh maikhane se jab su-e-haram aate hain
sar jhukae hue ba-dida-e-nam aate hain
ahl-e-gulshan to hazaron hain muqaddar se magar
barq ke samne aate hain to hum aate hain


phir bhi be-tabi-e-dil khinch ke le jati hai
go teri bazm se hum kha ke qasam aate hain
rasta zist ka pur-pech nazar aata hai
jab khayalon mein teri zulf ke kham aate hain


mukhlisana tere andaz nahin hain saqi
hum teri bazm mein is waste kam aate hain
wo 'abas karte hain mahrumi-e-qismat ka gila
jo teri bazm mein begana-e-gham aate hain


dil-e-nakaam ko milta hai umidon ka payam
jab kabhi manzil-e-maqsud pe hum aate hain
kis tarah husn pe aaina ho haalat meri
nala karne ke tariqe mujhe kam aate hain


husn ki zad se koi dil ko bachae kyunkar
un ke tir ab to ba-andaz-e-karam aate hain
apna markaz hi samajh rakkha ho jaise 'ishrat'
yun mere dil ki taraf ranj-o-alam aate hain


46054 viewsghazalEnglish