shairi ke siwa bacha kya hai

By gulnaz-khanOctober 24, 2023
sha'iri ke siwa bacha kya hai
sochti hun ye silsila kya hai
zindagi to hai wapsi ka safar
aur is hath pe likha kya hai


hum to sab kuchh ganwa ke baithe hain
sab jo hasil ho phir maza kya hai
aazmati hai bar bar mujhe
zindagi mujh se ab gila kya hai


dard mein mere wo sisakta hai
aise hamdard ki dawa kya hai
kuchh dalilen yahan nahin chaltin
'ishq ka aur daera kya hai


mujh ko ujda hua hi rahne do
kash puchhe koi hua kya hai
us bhale aadmi ka kya kije
jo nahin jaanta bura kya hai


mai-kadon mein bhi zikr ho jis ka
us ka phir aur martaba kya hai
chaal sayyaad teri jaan chuke
jal mein tere ab bacha kya hai


bebasi bewafai tanhai
'ishq ki shab mein aur likha kya hai
25565 viewsghazalEnglish