shajar jalte hain shakhen jal rahi hain hawaen hain ki paiham chal rahi hain talab radd-e-talab donon qayamat ye aankhen umr-bhar jal-thal rahi hain chamakta chand-chehra samne tha umangen bahr thin bekal rahi hain dabe-panw meri tanhaiyon mein hawaen khwab ban kar chal rahi hain sahar-dam sohbat-e-rafta ki yaaden mere pahlu mein aankhen mal rahi hain teri yaad aur be-khwabi ki raaten ye palken aankh par bojhal rahi hain bahut pechida hain chahat ke andaz ki ab dil-dariyan bhi khal rahi hain taraazu hain khirad-mandon ke dil mein wahi baaten jo be-atkal rahi hain 'ziya' un saaton mein umr guzri khuli aankhon se jo ojhal rahi hain