shajar se mil ke jo rone laga tha parinda dar se bichhda hua tha thaharta hi na tha dariya kahin par magar taswir mein dekha gaya tha main tishna-lab agarche laut aaya magar dariya ko ye mahnga pada tha darun-e-dil khalish aisi khuli thi ki jis ka rang chehre par uda tha main jab nikla tamanna ke safar par mere raste mein ek sahra pada tha ye duniya jis ghadi guzri yahan se main tere khwab mein khoya hua tha mohabbat aag hai aisi ki jalna dilon ke bakht mein likkha gaya tha