shak nahin hai hamein us but ke khuda hone mein chain hi chain hai raazi-ba-raza hone mein kaun chhup chhup ke mohabbat nahin karta aakhir kya burai hai yahi khel khula hone mein baat-be-baat unhen aadat hai khafa hone ki koi sani nahin rakhte wo khafa hone mein zinda rahne se bada jurm bhala kya hoga taham ek umr guzari hai saza hone mein pahle duniya mein wafa koi sifat hoti thi sharm aati hai ab arbab-e-wafa hone mein masala ban gai chhoti si burai ai 'shuur' kya takalluf hai bhala aur bura hone mein