shakl badli aur andar aa gaya

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
shakl badli aur andar aa gaya
dukh nae kapde badal kar aa gaya
us ne dekha aur aankhen pher lin
bojh sab meri nazar par aa gaya


raste-bhar ub mein dube rahe
jab safar mein dil laga ghar aa gaya
is samundar ke the itne tazkire
main na jaane kya samajh kar aa gaya


main to apne aap ko hasil nahin
aap ko kaise mayassar aa gaya
35510 viewsghazalEnglish