sham be-kaif sahi sham hai Dhal jaegi

By jaleel-nizamiNovember 2, 2020
sham be-kaif sahi sham hai dhal jaegi
din bhi niklega tabiat bhi sambhal jaegi
is qadar tez hai dil mein mere ummid ki lau
na-umidi mere pas aai to jal jaegi


narm shanon pe na bikhraw ghaneri zulfen
in ghataon se shab-e-tar dahal jaegi
mast aankhon ke darichon se na jhanka kije
jam takraenge mai-khwaron mein chal jaegi


ban-sanwar kar mujhe samjhane na aao warna
phir tamanna-e-dil-e-zar machal jaegi
mah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaana hargiz
shahr mein eid ki tarikh badal jaegi


itna saj-dhaj ke ayaadat ko na aaya kije
warna kuchh soch ke ye jaan nikal jaegi
kyon pareshan ho shab-e-hijr ki aamad pe 'jalil'
gardish-e-waqt hai aaj aai hai kal jaegi


51174 viewsghazalEnglish